اردو हिंदी
Apni palkon se uske ishaare uTha | Shaahi Shayari
apni palkon se uske ishaare uTha

Ghazal

Apni palkon se uske ishaare uTha

Krishn Bihari Noor

;

apni palkon se us ke ishaare uTha
us ki ungliyon se ishaare uTha

aisa lagta hai dohra raha hun main kuchh
zindagi ke purane shumare uTha

raushni ka wo kaisa ajab shor tha
is kinare hua us kinare uTha

aaKHiri hai safar wo subuk-sar chale
us ke daman se apne sitare uTha

aankh ki us badan par lakiren khinchin
har ghazal se nae istiare uTha

guftugu manzaron ki tarah khul ke ho
ab na tashbih aur istiare uTha

tera maqsad hai kya main samajh jaunga
koi mausam hi ki baat pyare uTha

rang se rang milne na pae kahin
ek ek kar ke sare nazare uTha

jhil patwar wapas na degi kabhi
apni kashti ab apne sahaare uTha

aag ke ek qalam ki siyahi laga
jo dhuan 'nur' ganga kinare uTha