اردو हिंदी
Apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain | Shaahi Shayari
apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain

Ghazal

Apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain

Mah Talat Zahidi

;

apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain
hum dua mangte hain aur asar dekhte hain

koi barsa hua baadal bhi jo guzra hai to hum
Dar ke barish mein Tapakta hua ghar dekhte hain

sair kaisi yahan tahzib ki zanjir bhi hai
hum to bas rauzan-e-diwar se dar dekhte hain

sirf KHwabon ka jahan hum ne sajaya warna
log to ji mein jo aa jae wo kar dekhte hain

dagh-e-dil dida-e-tar wahshat-e-jaan tanhai
un ko kya wo to faqat arz-e-hunar dekhte hain

ek wo manzilen baDh kar jinhen lene aaen
ek hum rah mein jo gard-e-safar dekhte hain

dil bujha jata ho jab raat ki tariki mein
dekhne wale tab aasar-e-sahar dekhte hain