اردو हिंदी
Apni nazar mein bhi to wo apna nahin raha | Shaahi Shayari
apni nazar mein bhi to wo apna nahin raha

Ghazal

Apni nazar mein bhi to wo apna nahin raha

Ghazanfar

;

apni nazar mein bhi to wo apna nahin raha
chehre pe aadmi ke hai chehra chaDha hua

manzar tha aankh bhi thi tamanna-e-did bhi
lekin kisi ne did pe pahra biTha diya

aisa karen ki sara samundar uchhal paDe
kab tak yun sath-e-ab pe dekhenge bulbula

barson se ek makan mein rahte hain sath sath
lekin hamare bich zamanon ka fasla

majma tha DugDugi thi madari bhi tha magar
hairat hai phir bhi koi tamasha nahin hua

aankhen bujhi bujhi si hain bazu thake thake
aise mein koi tir chalane ka faeda

wo be-kasi ki aankh khuli thi meri magar
zauq-e-nazar pe jabr ne pahra biTha diya