apni nazar mein aap ko ruswa na kar sake
hum dushmanon ke sath bhi dhoka na kar sake
sab raston ka ilm tha manzil qarib thi
afsos ham-safar ka irada na kar sake
aankhen asir zehn giraftar lab ba-qufl
un ke huzur ek ishaara na kar sake
un ka sitam to KHair bahut sah liya magar
un ke karam ka bojh gawara na kar sake
yaran-e-gham-gusar dilase tasalliyan
tinke the jin pe koi sahaara na kar sake
likhte rahe junun ki hikayat KHun-chakan
lekin kisi pe raaz ye ifsha na kar sake
zulmat-parast charagh the aise bhi kuchh 'raza'
jalte rahe magar jo ujala na kar sake
Ghazal
Apni nazar mein aapko ruswa na kar sake
Moosa Raza