اردو हिंदी
Apni na-karda-gunahi ki saza ho jaise | Shaahi Shayari
apni na-karda-gunahi ki saza ho jaise

Ghazal

Apni na-karda-gunahi ki saza ho jaise

Wakil Akhtar

;

apni na-karda-gunahi ki saza ho jaise
hum se is shahr mein har ek KHafa ho jaise

sochte chehron pe jalte hue aasar-e-hayat
yak-ba-yak waqt ka irfan hua ho jaise

ye dhundalke ye dar-o-baam ka gambhir sukut
chandni raat mein mahtab luTa ho jaise

tujh se milne ki tamanna teri qurbat ka KHayal
reg-zaron mein koi phul khila ho jaise

wahi KHubi wahi iKHlas-o-murawwat ke nishan
Hyderabad ki ek shahr-e-wafa ho jaise