اردو हिंदी
Apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le | Shaahi Shayari
apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le

Ghazal

Apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le

Khalid Raheem

;

apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le
dil ke KHane mein zara KHauf-e-KHuda bhi rakh le

tujh ko le jaegi sannaTe mein ek roz hayat
apne kanon ke liye sang-e-sada bhi rakh le

bujh na jae kahin ehsas ke shoalon ka mizaj
munjamid waqt hai thoDi si hawa bhi rakh le

fasla aur baDha degi ana ki dahliz
darmiyan zina-e-iKHlas-e-wafa bhi rakh le

zindagi dasht-e-tilismat ki jaanib hai rawan
kuchh to hamrah buzurgon ki dua bhi rakh le

roz ka milna giran-bar-e-talluq na bane
be-sabab us se kabhi KHud ko juda bhi rakh le