apni misal aap hai wo be-misal hai 
ye dekhna hai kaun mera ham-KHayal hai 
har qahqahe mein dard ke sagar hain tah-nashin 
diwana dekhne mein to aasuda haal hai 
kab sabza-e-nishat hai aasuda-e-nazar 
har samt surKH surKH salibon ka jal hai 
patthar ba-dast milta hai har shaKHs shahr mein 
aaina ban gae hain to bachna muhaal hai 
barbaadi-e-hayat pe 'mahwar' hun KHush bahut 
barbaadiyon ka meri unhen bhi KHayal hai
        Ghazal
Apni misal aap hai wo be-misal hai
Mehwar Noori

