apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
ruKH hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
pahle har chiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi dusre ghar ke hum hain
waqt ke sath hai miTi ka safar sadiyon se
kis ko malum kahan ke hain kidhar ke hum hain
chalte rahte hain ki chalna hai musafir ka nasib
sochte rahte hain kis rahguzar ke hum hain
hum wahan hain jahan kuchh bhi nahin rasta na dayar
apne hi khoe hue sham o sahar ke hum hain
gintiyon mein hi gine jate hain har daur mein hum
har qalamkar ki be-nam KHabar ke hum hain
Ghazal
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Nida Fazli