apni majburi ko hum diwar-o-dar kahne lage
qaid ka saman kiya aur us ko ghar kahne lage
darj hai tariKH-e-wasl-o-hijr ek ek shaKH par
baat jo hum tum na kah pae shajar kahne lage
KHauf-e-tanhai dikhata tha ajab shaklen so hum
apne sae hi ko apna ham-safar kahne lage
bastiyon ko banTne wala jo KHat khincha gaya
KHat kashida log us ko rah-guzar kahne lage
awwal awwal doston par naz tha kya kya hamein
aaKHir aaKHir dushmanon ko mo'tabar kahne lage
dekhte hain ghar ke rauzan se jo nila aasman
wo bhi apne aap ko ahl-e-nazar kahne lage
Ghazal
Apni majburi ko hum diwar-o-dar kahne lage
Shabnam Rumani