apni KHwahish mein jo bas gae hain wo diwar-o-dar chhoD den
dhup aankhon mein chubhne lagi hai to kya hum safar chhoD den
dast-bardar ho jaen fariyaad se aur baghawat karen
kya sawali tere qasr-e-insaf! zanjir-e-dar chhoD den
jab luab-e-dahan apna tiryaq hai dast o bazu bhi hain
sanp galiyon mein lahra rahe hain to kya hum nagar chhoD den
shahryaron se Dar jaen hum haq-parasti se tauba karen
apne andar bhi ek aadmi hai use hum kidhar chhoD den
hum ne dekha hai dariyaon ka ruKH kunwar shahr ki samt hai
shahr wale agar be-KHabar hain to kya be-KHabar chhoD den
Ghazal
Apni KHwahish mein jo bas gae hain wo diwar-o-dar chhoD den
Kunwar Ejaz Raja