apni khoi hui tauqir numayan kar den
kyun na tariki-e-mahfil ko farozan kar den
nur-e-sultana-o-raziya ki hamiyyat ki qasam
gumbad-e-charKH ko ek bar to larzan kar den
fatima-zahra ke dil-doz tahammul ki qasam
azmat-e-rafta se duniya mein charaghan kar den
jabr aur zulm ki buniyaad ko Dah kar bahno
aao ab himmat-e-mardana ko hairan kar den
tafraqe sare ye aapas ke miTa Dalen hum
aao ab jurat-e-niswan ko numayan kar den
hind viran hua hum ko hi 'maKHfi' rakh kar
uTho is ujDe gulistan mein bahaaran kar den
Ghazal
Apni khoi hui tauqir numayan kar den
Saeeda Jahan Makhfi