اردو हिंदी
Apni KHata ko isne mere nam likh diya | Shaahi Shayari
apni KHata ko isne mere nam likh diya

Ghazal

Apni KHata ko isne mere nam likh diya

Mahir Abdul Hayee

;

apni KHata ko is ne mere nam likh diya
us par kamal ye ki sar-e-am likh diya

andhon ke darmiyan rahun aaina misal
mere liye KHuda ne ajab kaam likh diya

naraaz hai wo mujh se bas itni si baat par
tira-shabi ko din na likha sham likh diya

kuchh ban paDa na hasrat-e-tamir se to phir
ujDe hue khanDar ko dar-o-baam likh diya

jab tirgi baDhegi to chamkega aur bhi
dil ke lahu se hum ne tera nam likh diya

kahte hain kis ko sabr-o-tahammul ye hum se puchh
taklif jo mili use aaram likh diya

ye bhi hua ki jis ne ujaDe the ghar ke ghar
munsif ne us ko laeq-e-inam likh diya

chahi thi main ne jis ki bhalai tamam umr
us ne meri duaon ko dushnam likh diya

koi to baat hogi ki ahl-e-nigah ne
jitne samar the puKHta unhen KHam likh diya

ab wasta paDa hai to 'mahir' khula ye raaz
patthar badan ko hum ne gul-andam likh diya