apni KHatir sitam ijad bhi hum karte hain
aur phir nala-o-fariyaad bhi hum karte hain
ek duniya meri aabaad hai jin se wahi KHwab
kabhi paspa kabhi barbaad bhi hum karte hain
KHana-e-jism mein hangama macha rakkha hai
le meri jaan tujhe aazad bhi hum karte hain
apne ahbab pe karte hain dil o jaan nisar
aur aksar unhen na-shad bhi hum karte hain
ranj-e-ulfat ke siwa ai dil-e-nadan bata
tha koi ranj jise yaad bhi hum karte hain
aur bhi log hain is kar-e-ziyan mein ham-rah
so in ashaar ko irshad bhi hum karte hain
Ghazal
Apni KHatir sitam ijad bhi hum karte hain
Mahtab Haider Naqvi