apni jeb thi KHali KHali karte kya
KHush-poshi ki laj nibha li karte kya
karna tha kuchh kaam janab-e-ali ko
hum Thahre rutbon se KHali karte kya
KHud ko samjha sab se baDh kar kar-guzar
thi ye apni KHam-KHayali karte kya
tum to saya-dar shajar the banTte chhanw
hum Thahre ek sukhi Dali karte kya
zarra ho kar jaan liya KHud ko KHurshid
kirnon se tha daman KHali karte kya
bahar jhum raha tha mausam phulon ka
andar ruThi thi hariyali karte kya
ghar ke asason ka malik tha sahukar
apne ghar ki hum rakhwali karte kya

Ghazal
Apni jeb thi Khaali Khaali karte kya
Anjum Azimabadi