اردو हिंदी
Apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main | Shaahi Shayari
apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main

Ghazal

Apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main

Allama Iqbal

;

apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main
aab o gil ke khel ko apna jahan samjha tha main

be-hijabi se teri TuTa nigahon ka tilism
ek rida-e-nil-gun ko aasman samjha tha main

karwan thak kar faza ke pech-o-KHam mein rah gaya
mehr o mah o mushtari ko ham-inan samjha tha main

ishq ki ek jast ne tai kar diya qissa tamam
is zamin o aasman ko be-karan samjha tha main

kah gain raaz-e-mohabbat parda-dari-ha-e-shauq
thi fughan wo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main

thi kisi darmanda rah-rau ki sada-e-dardnak
jis ko aawaz-e-rahil-e-karwan samjha tha main