apni jaan-bazi ka jis dam imtihan ho jaega
KHanjar-e-saffak par jauhar ayan ho jaega
aah-e-sozan ka agar uncha dhuan ho jaega
aasman ek aur zer-e-asman ho jaega
kuchh samajh kar us mah-e-KHubi se ki thi dosti
ye na samjhe the ki dushman aasman ho jaega
le KHabar bimar-e-gham ki warna ai rashk-e-masih
teri furqat mein firaq-e-jism-o-jaan ho jaega
KHak kar dega mujhe aaKHir siyah-chashmon ka ishq
jism-e-KHaki gard-e-pa-e-ahuwan ho jaega
jab ada se wo karega qatl mujh ko ai 'asar'
kushta-e-shamshir-e-hairat ek jahan ho jaega
Ghazal
Apni jaan-bazi ka jis dam imtihan ho jaega
Imdad Imam Asar