اردو हिंदी
Apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya | Shaahi Shayari
apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya

Ghazal

Apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya

Muneer Niyazi

;

apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya
chand ne pani mein dekha aur pagal ho gaya

wo hawa thi sham hi se raste KHali ho gae
wo ghaTa barsi ki sara shahr jal-thal ho gaya

main akela aur safar ki sham rangon mein Dhali
phir ye manzar meri nazron se bhi ojhal ho gaya

ab kahan hoga wo aur hoga bhi to waisa kahan
soch kar ye baat ji kuchh aur bojhal ho gaya

husn ki dahshat ajab thi wasl ki shab mein 'munir'
hath jaise intiha-e-shauq se shal ho gaya