apni hasti miTa ke kya hoga
us ko apna bana ke kya hoga
jin ke chehre pe hain kai chehre
un ko shisha dikha ke kya hoga
apne haq ke liye laDo khul kar
yun hi aansu baha ke kya hoga
jab hain pardes mein sajan to phir
hath mehndi racha ke kya hoga
be-wafaon ko haal-e-dil apna
chhoDiye bhi suna ke kya hoga
un ko KHud par bhi jab yaqin nahin
mera sar bhi kaTa ke kya hoga
jo kabhi hum ko puchhta hi nahin
us ki mahfil mein ja ke kya hoga
khiDkiyan zehn ki nahin kholin
sirf shamen jala ke kya hoga
apne aamal par nazar rakhiye
aib un ke gina ke kya hoga
tu jo duniya mein ban raha hai KHuda
samne phir KHuda ke kya hoga
ye KHabar aai tum na aaoge
phir to ye ghar saja ke kya hoga
zikr se jin ke dhaDkanen baDh jaen
un se nazren mila ke kya hoga
jab tere pyar pe yaqin hai hamein
phir hamein aazma ke kya hoga
zindagi mein agar sukun na ho
phir ye daulat kama ke kya hoga
jo hain baune rahenge baune hi
un ko sar par biTha ke kya hoga
Ghazal
Apni hasti miTa ke kya hoga
meenakshi jijivisha