apni hasti ko yahan be-muddaa samjha tha main
kya samajhna chahiye tha aur kya samjha tha main
tum ko apne dard-e-dil ki gar dawa samjha tha main
kya ghalat samjha tha main bilkul baja samjha tha main
kis ghalat-fahmi mein apni umr sari kaT gai
ek wafa-na-ashna ko ba-wafa samjha tha main
kuchh na puchho rah-e-ulfat mein meri wamandgi
kakul-e-pechida ko zanjir-e-pa samjha tha main
us ka har har ghunT tha zahr-e-halahal se siwa
zindagi ko chashma-e-ab-e-baqa samjha tha main
sach hai 'najmi' ishq azin bisyar kardast-o-kunad
sar ka dena ek aain-e-wafa samjha tha main
Ghazal
Apni hasti ko yahan be-muddaa samjha tha main
Amjad Najmi