apni hasti ko miTa dun tere jaisa ho jaun
is tarah chahun tujhe main tera hissa ho jaun
paelen bandh ke barish ki karun raqs-e-junun
tu ghaTa ban ke baras aur main sahra ho jaun
dur tak Thahra hua jhil ka pani hun main
teri parchhain jo paD jae to dariya ho jaun
shahr-dar-shahr mere ishq ki naubat baje
main jahan jaun tere nam se ruswa ho jaun
aadmi ban ke bahut main ne tujhe sajde kiye
to KHuda ban ke mujhe mil main farishta ho jaun
is tarah mil ki bichhaDne ka tasawwur na rahe
is tarah mang mujhe tu ki main tera ho jaun
itna bimar ki sanson se dhuan uThta hai
aa tujhe dekh lun aur dekh ke achchha ho jaun
Ghazal
Apni hasti ko miTa dun tere jaisa ho jaun
Shakeel Azmi