اردو हिंदी
Apni hasti ko andhe kunen mein girana nahin chahta | Shaahi Shayari
apni hasti ko andhe kunen mein girana nahin chahta

Ghazal

Apni hasti ko andhe kunen mein girana nahin chahta

Shanawar Ishaq

;

apni hasti ko andhe kunen mein girana nahin chahta
main haqiqat-pasandi ko suli chaDhana nahin chahta

dar-ba-dar hun to sher-o-suKHan ke liye ya shikam ke liye
warna main ghar se bahar gali tak bhi aana nahin chahta

main ne minnat nahin man rakkhi daraKHton se girta rahun
main kisi shaKH par koi tinka sajaana nahin chahta

ho gai hai tujhe is qadar mujh se nafrat to soya na kar
main to KHud tere jaison ke KHwabon mein aana nahin chahta

meri koshish yahi hai ki zindon ko saya faraham karun
main kisi qabr par koi pauda lagana nahin chahta

main 'shanawar' teri qadr karta hun dil se magar jaane kyun
apni aulad ko tere jaisa banana nahin chahta