apni hasti ka agar husn numayan ho jae
aadmi kasrat-e-anwar se hairan ho jae
tum jo chaho to mere dard ka darman ho jae
warna mushkil hai ki mushkil meri aasan ho jae
o namak-pash tujhe apni malahat ki qasam
baat to jab hai ki har zaKHm namakdan ho jae
dene wale tujhe dena hai to itna de de
ki mujhe shikwa-e-kotahi-e-daman ho jae
us siyah-baKHt ki raaten bhi koi raaten hain
KHwab-e-rahat bhi jise KHwab-e-pareshan ho jae
sina-e-shibli-o-mansur to phunka tu ne
is taraf bhi karam ai jumbish-e-daman ho jae
aaKHiri sans bane zamzam-e-hu apna
saz-e-mizrab-e-fana tar-e-rag-e-jaan ho jae
tu jo asrar-e-haqiqat kahin zahir kar de
abhi 'bedam' rasan-o-dar ka saman ho jae
Ghazal
Apni hasti ka agar husn numayan ho jae
Bedam Shah Warsi