اردو हिंदी
Apni har baat zamane se chhupani paDi thi | Shaahi Shayari
apni har baat zamane se chhupani paDi thi

Ghazal

Apni har baat zamane se chhupani paDi thi

Mumtaz Gurmani

;

apni har baat zamane se chhupani paDi thi
phir bhi jis aankh mein dekha to kahani paDi thi

main ne kuchh rang churae the kisi titli ke
aur phir umr hifazat mein bitani paDi thi

kal kisi ishq ke bimar pe dam karna tha
pir-e-kaamil ko ghazal meri sunani paDi thi

kucha-e-ishq se nakaam palaTne wale
tu ne dekha tha wahan meri jawani paDi thi

dil na sah paya kisi aur se qurbat us ki
mujh ko diwar se taswir haTani paDi thi

main bahut jald buDhape mein chala aaya tha
bin tere umr ki raftar baDhani paDi thi

us ki hasrat ka badan barf na ho jae kahin
apne sine mein mujhe aag lagani paDi thi

tere 'mumtaz' ko gham maut ka bas is liye hai
apne baalon mein tujhe KHak rawani paDi thi