apni ghairat ke alawa kahin dekhe na gae
KHud se nikle the magar ghair ke pichhe na gae
tum ko afsos tumhein Thik banaya na gaya
aur ek hum ke abhi chaak pe rakkhe na gae
ek sitam ye ke hamein wasl mein aaya na sukun
ek sitam ye ke tere hijr bhi dekhe na gae
sang us ke to mohabbat mein saliqe se kaTi
baad us ke bhi badan se ye saliqe na gae
tere aane pe kahan sar pe uTha lete the ghar
tere jaane pe tere pichhe dariche na gae
us ki KHushbu ko bhi ruKHsat na kiya jata tha
hum se kuchh rose to kapDe bhi utare na gae
Ghazal
Apni ghairat ke alawa kahin dekhe na gae
Nivesh Sahu