apni farhat ke din ai yar chale aate hain
kaifiyat par gul-e-ruKHsar chale aate hain
paD gai kya nigah-e-mast tere saqi ki
laDkhaDate hue mai-KHwar chale aate hain
yaad kin nashsha mein Dubi hui aankhen kis ki
ghash tujhe ai dil-e-bimar chale aate hain
rah mein sahib-e-iksir khaDe hain mushtaq
KHaksaran-e-dar-e-yar chale aate hain
bagh mein phul hanse dete hain bedardi se
nala-e-murgh-e-giraftar chale aate hain
dekh kar abru-e-KHamdar phire yun aashiq
ghul hai khae hue talwar chale aate hain
jis tarah narghe mein chalte hain ghazal-e-sahra
yun teri chashm ke bimar chale aate hain
hun wo be-KHud ki ye hai nala-e-sozan pe guman
shoala-e-atish-e-ruKHsar chale aate hain
chahiye shor-e-qayamat pae-tazim uTThe
aap ke aashiq-e-raftar chale aate hain
shor sunte hain jo hum chaak-garebanon ka
band khole sar-e-bazar chale aate hain
har taraf hashr mein jhankar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftar chale aate hain
chal gai tegh-e-nigah aaj 'tashshuq' pe zarur
log us kucha se KHun-bar chale aate hain
Ghazal
Apni farhat ke din ai yar chale aate hain
Taashshuq Lakhnavi