apni dhun mein rahta hun
main bhi tere jaisa hun
o pichhli rut ke sathi
ab ke baras main tanha hun
teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hun
mujh se aankh milae kaun
main tera aaina hun
mera diya jalae kaun
main tera KHali kamra hun
tere siwa mujhe pahne kaun
main tere tan ka kapDa hun
tu jiwan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun
aati rut mujhe roegi
jati rut ka jhonka hun
apni lahr hai apna rog
dariya hun aur pyasa hun
Ghazal
Apni dhun mein rahta hun
Nasir Kazmi