apni bhigi hui palkon pe saja lo mujh ko
rishta-e-dard samajh kar hi nibha lo mujh ko
chum lete ho jise dekh ke tum aaina
apne chehre ka wahi aks bana lo mujh ko
main hun mahbub andheron ka mujhe hairat hai
kaise pahchan liya tum ne ujalo mujh ko
chhanw bhi dunga dawaon ke bhi kaam aaunga
nim ka pauda hun aangan mein laga lo mujh ko
doston shishe ka saman samajh kar barson
tum ne barta hai bahut ab to sambhaalo mujh ko
gae suraj ki tarah lauT ke aa jaunga
tum se main ruTh gaya hun to mana lo mujh ko
ek aaina hun ai 'naqsh' main patthar to nahin
TuT jaunga na is tarah uchhaalo mujh ko
Ghazal
Apni bhigi hui palkon pe saja lo mujhko
Naqsh Layalpuri