apni be-chehragi mein patthar tha
aaina baKHt mein samundar tha
sarguzisht-e-hawa mein likha hai
aasman ret ka samundar tha
kis ki tasnif hai kitab-e-dil
kaun talif par muqarrar tha
kuchh to wazeh na tha teri surat
aur kuchh aaina mukaddar tha
wo nazar KHizr-e-rah maqtal thi
us se aage mera muqaddar tha
raat aaghosh-e-dida-e-tar mein
aks-e-aghosh-e-dida-e-tar tha
ye qadam is gali ke lagte hain
jis gali mein kabhi mera ghar tha
Ghazal
Apni be-chehragi mein patthar tha
Rasa Chughtai