اردو हिंदी
Apni aur kisi se kis din rah-o-rasm-o-rifaqat thi | Shaahi Shayari
apni aur kisi se kis din rah-o-rasm-o-rifaqat thi

Ghazal

Apni aur kisi se kis din rah-o-rasm-o-rifaqat thi

Basheer Ahmad Basheer

;

apni aur kisi se kis din rah-o-rasm-o-rifaqat thi
aati jati sans thi jis ki saat sangat thi

tujh ko KHayal na aaya warna kis din itne garan the hum
ek do harf-e-murawwat socho kaun si aisi qimat thi

main bhi apni dhun mein rawan tha wo bhi apne-ap mein gum
baat ki naubat kaise aati kis ko itni fursat thi

bit chuke wo din wo zamane rahat-bhari aziyyat ke
yaad kise ab kaun batae duri thi ki wo qurbat thi

kucha kucha phailen baaten qata-e-talluq-KHatir ki
auron ka to zikr hi kya diwar-o-dar ko hairat thi

kitne hain jo ab tak pahunche apni zat ki manzil tak
harf-o-bayan se baat hai bahar aisi kaDi masafat thi

gosha-gir faqir the hum to maslak ijz-o-niyaz 'bashir'
kyun be-sud kisi se ulajhte apni kis se adawat thi