apni ana ke gumbad-e-be-dar mein band hai
lekin ba-zom-e-KHud wo falak tak buland hai
har manzil un ke waste bas ek zaqand hai
wo log apna azm hi jin ka samand hai
aata hai bar bar fareb-e-KHulus mein
kya sada-lauh apna dil-e-dard-mand hai
jo iltihab-e-atish-e-gham se hai nala-kash
wo dil nahin chaTaKHta hua ek sipand hai
shayad maal-e-KHanda-e-gul hai nigah mein
lab par kali kali ke ajab zahr-e-KHand hai
har zi-hayat is mein rahe umr bhar asir
tar-e-nafas bhi ek tarah ki kamand hai
shamil hain talKHiyan bhi halawat ke sath sath
ye zindagi hai zahr-e-halahal na qand hai
'tanwir' shahr-e-sang mein shishagari ki baat
yaran-e-mehrban ko bahut na-pasand hai
Ghazal
Apni ana ke gumbad-e-be-dar mein band hai
Suraj Tanveer