apni aashufta tabiat ka maza leta hun
kash lagata hun aziyyat ka maza leta hun
aankh bhi samne hone pe yaqin rakhti hai
KHwab-dar-KHwab suhulat ka maza leta hun
tu mere hisse ki wahshat ka maza leta hai
aur main teri mashiyyat ka maza leta hun
chandni sard hawa phul parinde KHushbu
raat-bhar teri zarurat ka maza leta hun
jhil mein aag lagata hun baDi fursat se
aur phir baiTh ke fursat ka maza leta hun
KHauf khata hun kahin KHud se na ukta jaun
waqt ki taza riwayat ka maza leta hun

Ghazal
Apni aashufta tabiat ka maza leta hun
Rahil Bukhari