apni aankhon se jo wo ojhal hai
dil taDapta hai jaan bekal hai
phuljaDi hai izar-band nahin
naf se panw tak jhala-jhal hai
na chhalawe mein hai na bijli mein
teri raftar mein jo chhalbal hai
nazuki mein safa mein bu mein wo jism
phul hai aaina hai sandal hai
Dor tar-e-shuaa hai ai 'mehr'
aaftab us pari ka takkal hai

Ghazal
Apni aankhon se jo wo ojhal hai
Syed Agha Ali Mehr