apni aankhon mein hasin KHwab sajae rakkho
lakh tufan uThen shama jalae rakkho
raat phir raat hai ek rose guzar jaegi
subh ki aas azaem mein basae rakkho
KHwahish-e-dil ki hawa tez bahut hai yaro
aag pindar ki sine mein jalae rakkho
jitna chaho to har mat saho hans hans kar
fikr-e-mayus KHayalon se bachae rakkho
yun zara der ko dil se hi lubha lete hain
baat to jab hai ki ta-umr lubhae rakkho
tum ne sach bola hai maslub tumhein hona hai
apne kandhe pe salib apni uThae rakkho
gar ye chaho ki ayan karb na ho sine ka
jaan-e-'shahzad' nigahon se banae rakkho
Ghazal
Apni aankhon mein hasin KHwab sajae rakkho
Farhat Shahzad