اردو हिंदी
Apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin | Shaahi Shayari
apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin

Ghazal

Apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin

Amit Sharma Meet

;

apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin
sach kahun aaj talak khul ke main roya hi nahin

mere lafzon se mera dard jhalak jata hai
jabki is dard ko aawaz mein boya hi nahin

ek dafa nind mein KHwabon ka janaza dekha
baad us ke main kabhi chain se soya hi nahin

tang galiyon mein mohabbat ki bhaTakte hain sab
main ne koshish to kai bar ki khoya hi nahin

sans ruk jae taDapte hue yaadon mein kahin
hijr ka bojh kabhi dil pe yun Dhoya hi nahin

main kahani mein naya moD bhi la sakta tha
main ne kirdar ko aansu mein bhigoya hi nahin

marne ke yun kai danw chale us ne par
'mit' ko ishq ke daldal mein Duboya hi nahin