apni aankhon ke hisaron se nikal kar dekhna 
tu kisi din apne na hone ka manzar dekhna 
ek adam-malum-muddat se main teri zad mein hun 
KHud ko lamha bhar mera qaidi bana kar dekhna 
sham gahre paniyon mein Dub kar ek bar phir 
shahr ke maujud manzar ko palaT kar dekhna 
dekhna pichhle pahar KHwabon ki ek andhi qatar 
aasman par TuTte taron ka manzar dekhna 
mera apne aap se bahar bikhar jaana tamam 
aur KHizan-dida parindon ka mera ghar dekhna 
rang apne aap hi ab sab ke sab zail hue 
hai abas diwar par ye naqsh-o-paikar dekhna 
main ki KHud muztar fasil-e-jism ke is par hun 
kya bhanwar ka KHauf ab kaisa samundar dekhna
        Ghazal
Apni aankhon ke hisaron se nikal kar dekhna
Farooq muztar

