apni aankhen jo band kar dekhun
sabz KHwabon ka main safar dekhun
Dubne ki na tairne ki KHabar
ishq-dariya mein bas utar dekhun
baad us ke nahin KHabar kya hai
aaine tak to chashm tar dekhun
dil mein bajta hua dhaDakta hua
apni tanhai ka gajar dekhun
bain karti hui bahaaron mein
KHud mein ek shor-e-KHair-o-shar dekhun
KHwab ki lahlahati wadi mein
KHushbuon se bana nagar dekhun
aasman le raha hai angDai
titliyon ke nagar mein Dar dekhun
mauja-e-gul ke hath mein lipTi
'asima' dasht ki KHabar dekhun
Ghazal
Apni aankhen jo band kar dekhun
Asima Tahir