apni aaankhon par wo nindon ki rida oDhe hue
so raha hai KHwab ka ek silsila oDhe hue
sardiyon ki raat mein wo be-makan muflis bashar
kis tarah rahta hai iklauti rida oDhe hue
ek ajab andaz se aai lahad par ek dulhan
chuDiyan toDe hue dast-e-hina oDhe hue
KHair muqaddam ke liye baDhne lagin meri taraf
manzilen apne saron par rasta oDhe hue
peD ke niche zara si chhanw jo us ko mili
so gaya mazdur tan par boriya oDhe hue
teri yaadon ke charaghon ne kiya jhuk kar salam
jab chali aandhi koi zor-e-hawa oDhe hue
bhiD mein gum ho gaya ek roz 'shaarib' ka wajud
DhunDhta hai jism par apna pata oDhe hue
Ghazal
Apni aaankhon par wo nindon ki rida oDhe hue
Sharib Mauranwi