اردو हिंदी
Apne zinda jism ki guftar mein khoya hua | Shaahi Shayari
apne zinda jism ki guftar mein khoya hua

Ghazal

Apne zinda jism ki guftar mein khoya hua

Rasheed Nisar

;

apne zinda jism ki guftar mein khoya hua
KHwab kaise dekhta dopahar ka soya hua

jab samaat ke kabutar aasman mein chhup gae
tab wo mere pas aaya shauq se goya hua

main to us ke lams ki KHwahish mein ji kar mar gaya
us ka sara jism tha aghyar ka dhoya hua

nafraton ke beach mere khet mein laya tha wo
jis ke baghon mein lahu ka peD tha boya hua

apne honTon par sulagte phul aae hain 'nisar'
hans ke bola tha hamare sath ka roya hua