apne zauq-e-did ko ab kargar pata hun main
un ka jalwa har taraf pesh-e-nazar pata hun main
wo bhi din the jab mere dil ko thi teri justuju
ye bhi din hai dil ko ab tera hi ghar pata hun main
har qadam hai justuju ki rah mein dushwar-tar
har qadam par gum-rahi ko rahbar pata hun main
aa gaya hai ishq mein kaisa ye hairat ka maqam
jis taraf jata hun un ko jalwa-gar pata hun main
ab kahan meri nazar mein dahr ki ranginiyan
ab to apne aap hi ko KHud-nigar pata hun main
maut se hoti hai 'shaida' zindagi ki parwarish
har nafas mein ye haqiqat mushtahar pata hun main
Ghazal
Apne zauq-e-did ko ab kargar pata hun main
Shaida Ambalvi