apne zarf apni talab apni nazar ki baat hai
raat hai lekin mere lab par sahar ki baat hai
aashiyan ke sath puri zindagi badli gai
kam-nazar samjhe ki musht-e-baal-o-par ki baat hai
ta-abad kitne andhere the ki raushan ho gae
shama ka jalna ba-zahir raat bhar ki baat hai
zindagi sadiyon ka hasil zindagi sadiyon ka rup
zindagi jo chashmak-e-barq-o-sharar ki baat hai
manzil ek rah-raw ka thak jaana hai warna zindagi
ek musalsal rahguzar paiham safar ki baat hai
Ghazal
Apne zarf apni talab apni nazar ki baat hai
Syed Zameer Jafri