apne virane ka nuqsan nahin chahta main
yani ab dusra insan nahin chahta main
kaT gai jaisi bhi kaTni thi yahan dhup ke sath
ab kisi sae ka ehsan nahin chahta main
mar raha hun main yahan aur wo kahta hai mujhe
na-mukammal tera iman nahin chahta main
pas aa kar na baDha aur pareshani-e-dil
phir kisi ishq ka saman nahin chahta main
tu mohabbat mein yunhi jaan ganwa baiThega
ja chala ja ki teri jaan nahin chahta main
chahta hun ki yahan phul khile hon har-su
yani ye jang ka maidan nahin chahta main
main jo chup hun to use aap ghanimat jaanen
dekhiye shahr mein tufan nahin chahta main
Ghazal
Apne virane ka nuqsan nahin chahta main
Azhar Abbas