apne sine ko mere zaKHmon se bharne wali
tu kahan kho gai KHushbu si bikharne wali
main to ho jaunga ru-posh tah-e-KHak magar
ek KHwahish hai mere dil mein na marne wali
aanhken viran hain honTon pe sulagte hain sarab
tah-nashin ho gai har mauj ubharne wali
ek sakun pa gaya ja kar tah-e-dariya patthar
ab bala koi nahin sar se guzarne wali
nind aati hai to ek KHauf sa lagta hai mujhe
jaise ek lash pe ho chil utarne wali
Dhal gae sang mein is tarah 'mujibi' jazbaat
ab shikan bhi nahin mathe pe ubharne wali
Ghazal
Apne sine ko mere zaKHmon se bharne wali
Siddique Mujibi