apne se gurezan kabhi aghyar se barham
manind bagulon ke hain ab garm-e-safar hum
phirte hain tere shahar mein be-yar-o-madadgar
gard-e-rah-e-manzil ki tarah KHak-ba-sar hum
wo raat kisi taur jo kaTe nahin kaTti
wo raat bhi karte hain kisi taur basar hum
allah ri wamandagi-e-qafila-e-sham
baiThe rahe ta-subh sar-e-rah-guzar hum
kandhon pe uThae hue ek tohmat-e-yaran
jate hain su-e-dar jhukae hue sar hum
phulon ki kabhi baat sitaron ka kabhi zikr
karte hain tujhe yaad ba-andaz-e-digar hum
phir dil ne pukara hai usi shoala-nafas ko
jo ruh ki taskin hai aur zaKHm ka marham
ye jabr-e-mashiyat tha ki dekha kiye barson
andaz-e-shab-e-tar mein aasar-e-sahar hum
husn-e-lab-o-gesu ko diya hum ne naya nam
aalam se juda rakhte hain andaz-e-nazar hum
ye kawish-e-afkar mata-e-dil-o-jaan hai
rakhte hain agar kuchh to yahi naqd-e-hunar hum
Ghazal
Apne se gurezan kabhi aghyar se barham
Iqbal Haidri