اردو हिंदी
Apne se be-samajh ko haq ki kahan pachhanat | Shaahi Shayari
apne se be-samajh ko haq ki kahan pachhanat

Ghazal

Apne se be-samajh ko haq ki kahan pachhanat

Alimullah

;

apne se be-samajh ko haq ki kahan pachhanat
'man-arafa' ko na bujha 'qad-arafa' sun jihaalat

hai farz bujh awwal apna pichhe KHuda ko
be-bujh bandagi hai sab ranj aur malamat

jannat ki tu mazduri bujha hai bandagi ko
baKHshish nahin hai hargiz juz lutf aur inayat

hirs-o-hawa mein paD kar haq sun hua hai baatil
phir mangta hai jannat kya nafs-e-bad-KHasalat

bin qalb ki huzuri manzur kyun paDega
roza namaz rasmi sajda sujud taat

mabud ke muqabil aabid ko abadiyat hai
ghibat mein chup rijhana kya mahz hai KHajalat

tan nafs aur dil ruh sar nur-e-zat mil kar
apne mein haq ko pana hai afzalulibaadat

bin pir ke KHuda ko paya na koi hargiz
kaamil ko kyun pacchane be-sidq o be-hidayat

nahin hai 'alim' ko sach taqwa amal pe apne
didar ka sanam ke kafi hai istaqamat