apne roz o shab ka aalam karbala se kam nahin
arsa-e-matam hai lekin fursat-e-matam nahin
sirf jazb-e-shauq mein pauren lahu karte rahe
hum wahan uljhe jahan par koi pech o KHam nahin
koi rog aisa nahin jo qarya-e-jaan mein na ho
koi sog aisa nahin jis mein ki shamil hum nahin
koi lai aisi nahin jo sarf-e-hangama nahin
ek bhi sur zindagi ke saz ka maddham nahin
ek sawan hi nahin hai KHun rulane ke liye
apni aankhen KHushk hone ka koi mausam nahin
dast-e-isa kya kare jab jism par rakhte hain hum
ek aisa zaKHm jis ka waqt bhi marham nahin
aisi tanhai se to 'shahzad' mar jaana bhala
ek bhi dushman nahin aur ek bhi hamdam nahin
Ghazal
Apne roz o shab ka aalam karbala se kam nahin
Shahzad Qamar