apne rahne ka Thikana aur hai
ye qafas ye aashiyana aur hai
maut ka aana bhi dekha bar-ha
par kisi par dil ka aana aur hai
naz uThane ko uThate hain sabhi
apne dil ka naz uThana aur hai
dard-e-dil sun kar tumhein nind aa chuki
banda-parwar ye fasana aur hai
raat bhar mein sham-e-mahfil jal-bujhi
aashiqon ka dil jalana aur hai
hum kahan phir baghban gulshan kahan
ek do din aab-o-dana aur hai
bholi bholi un ki baaten ho chukin
ab KHuda rakkhe zamana aur hai
chhoD dun kyunkar dar-e-pir-e-mughan
koi aisa aastana aur hai
yar-e-sadiq DhunDte ho tum 'jalil'
mushfiq-e-man ye zamana aur hai
Ghazal
Apne rahne ka Thikana aur hai
Jaleel Manikpuri