apne qadam ki chap se yun Dar rahe hain hum
maqtal ki samt jaise safar kar rahe hain hum
kya chand aur taron ko hum jaante nahin
ai aasman walo zamin par rahe hain hum
mushkil tha sath-e-ab se hum ko khangalna
bahar nahin the jitna ki andar rahe hain hum
kal aur koi waqt ki aankhon mein ho to kya
ab tak to har nigah ka mehwar rahe hain hum
dair-o-haram se aur bhi aage nikal gae
han aql ki hudud se bahar rahe hain hum
ai ham-safar na puchh masafat nasib se
tu jaanta hai kitne dinon ghar rahe hain hum
bahar na aae hum bhi ana ke hisar se
is jang mein tumhaare barabar rahe hain hum
jharnon ki kya bisat karen guftugu 'fahim'
dariya gire jahan wo samundar rahe hain hum

Ghazal
Apne qadam ki chap se yun Dar rahe hain hum
Faheem Jogapuri