apne pas-manzar mein manzar bolte
chiKHte diwar-o-dar ghar bolte
kuchh to khulta majra-e-qatl-o-KHun
chaDh ke auj-e-dar pe sar bolte
maslahat thi koi wo chup the agar
bolne wale to khul kar bolte
jo tilism-e-azari mein band the
wo sanam patthar ke kyun kar bolte
bah gaya ashkon ka sail-e-KHun kahan
KHushk aankhon ke samundar bolte
na-shanasan-e-suKHan ki bazm mein
bolte to kya suKHnawar bolte
Ghazal
Apne pas-manzar mein manzar bolte
Sharar Fatehpuri