اردو हिंदी
Apne pahlu se wo ghairon ko uTha hi na sake | Shaahi Shayari
apne pahlu se wo ghairon ko uTha hi na sake

Ghazal

Apne pahlu se wo ghairon ko uTha hi na sake

Akbar Allahabadi

;

apne pahlu se wo ghairon ko uTha hi na sake
un ko hum qissa-e-gham apna suna hi na sake

zehan mera wo qayamat ki do-alam pe muhit
aap aaise ki mere zehan mein aa hi na sake

dekh lete jo unhen to mujhe rakhte mazur
shaiKH-sahib magar us bazm mein ja hi na sake

aql mahngi hai bahut ishq KHilaf-e-tahzib
dil ko is ahd mein hum kaam mein la hi na sake

hum to KHud chahte the chain se baiThen koi dam
aap ki yaad magar dil se bhula hi na sake

ishq kaamil hai usi ka ki patangon ki tarah
tab nazzara-e-masuq ki la hi na sake

dam-e-hasti ki bhi tarkib ajab rakkhi hai
jo phanse us mein wo phir jaan bacha hi na sake

mazhar-e-jalwa-e-jaanan hai har ek shai 'akbar'
be-adab aankh kisi samt uTha hi na sake

aisi mantiq se to diwangi behtar 'akbar'
ki jo KHaliq ki taraf dil ko jhuka hi na sake