apne nale mein gar asar hota
qatra-e-ashk bhi guhar hota
jin ke name ki hai pahunch tujh tak
kash main un ka nama-bar hota
dil na deta jo main tujhe zalim
kyun meri jaan ka zarar hota
phir na karta sitam kisi pe agar
haal se mere ba-KHabar hota
KHun-e-ushshaq karte kyun nahaq
gar buton ko KHuda ka Dar hota
kaam aata main ek din pyare
rabt mujh se tujhe agar hota
khinchti fauj-e-KHat jo husn pe tegh
sina mera hi wan sipar hota
'soz' ko shauq kabe jaane ka
hai bahut par zyaada-tar hota
shaiKH manind tere us ke pas
bar-bardari ko jo KHar hota
Ghazal
Apne nale mein gar asar hota
Meer Soz